Tuesday, June 10, 2008

"Mera Bharat Desh Mahaan"

Aaj lar rahe hai bhai-bhai,banke hindu musalmaan.
Kaha aa gaya hai hey bhagwan,mera bharat desh mahaan.
Kaba aur kailash ke roj mudde Uchhal rahe hai.
Inke aanch pe har roj, gaw nagar jal rahe hai.
Sisak rahi hai insaniyat khokar apna aatsamman.
Kaha aa gaya hai hey bhagwan,mera bharat desh mahaan.
Izzat looti ja rahi hai,aaj yaha pe naari ki.
Badh rahi hai roj aabadi,goonde balatkaari ki.
Bebas lachar janta ki badi muskil mei hai jaan.
Kaha aa gaya hai hey bhagwan,mera bharat desh mahaan.
Bik raha hai chand rupyo mei aaz yaha imman.
Sisak rahi hai jhoot ke aage sachhai ki saan.
Badal diya hai logon ne iss dharti ki pehchan.
Kaha aa gaya hai hey bhagwan,mera bharat desh mahaan.
Jis dharti pe satya, ahinsa ki pooja ki jati thi.
Jis dharti ke anchal pe insaniyat sukh paati thi.
Iss shanti ke upvan mein gunje,ashanti ki taan.
Kaha aa gaya hai hey bhagwan,mera bharat desh mahaan.

No comments: